*Note: This poetry is subject to copyright material of Fdilbar.com.
No part of it must be copied without proper written permission from the author.
You're my love You live in my heart You're the
one I can feel
You're like rain in winter You shy like moon in clouds
Your smile shakes my heart
Your voice make me dream Your body is a flower on fire
You make me feel drunk without drinking
You make me sing You make me dance You make me
feel you're my only love...
You were
attractive to me in first sight
Your eyes were playing the role of a gun with unlimited bullets
Your lips were like dry leaves roaming on water
You're the dead end of beauty...
== LOVE == This is something which get my tears flow like a river,
This is what make my tears arid & bloody,
This is something from whom I'm afriad,
This is the emotion which makes me sad,
The emotion which make my heart cry,
The emotion which comes to me as a nightmare,
Something which put me in darkness,
This is something which make me stand alone in the silent streets,
This is the only responsible for my silence,
The only thing which make me think about her,
This was there when she was with me,
This is what created a relation between us,
This the time & Me, its single moment,
This is the one who makes me live & die,
Again, again & again...
I'm not a traitor, but her unsincerity made me,
I'm not alone but she made me feel alone,
I'm in lights but still in dark nights,
I hate her like hell but my silence still screams that I love her...
== Volatile == The truth lies beneath the deepest part of my heart...
Where the hates & love take a part...
I'm Truly Volatile...
Not only Hostile...
I hate to be what I am...
And I hate to be what I'm not...
I hate my thoughts...I hate my past...
As it always ruin my masquerade...
And I'm violent to my future...
I don't like anything in my life...
Except my Creator & the One who deserve...
Excerpt I'm only some amount of black dirt...
The vigor I still write...
And the vigilance readers...
It's in my eyes all there...
The way world change...
The Way My Beloved One Changed...
And the way I'm once again broken...
== Kabhi tum bhi == Kabhi tum bhi meray howa kartay thay...
Haath mai ghulaab aur chehray per muskaan rakhtay thay...
Kahan gae aaj tumhari woh dil kush baatain aur wo waday
Jab hum kharay puri raat tumhara intazaar kartay thay...
Woh akelay mai chup kar rona Woh udaasi ka aalam
Kahan gaye tum abb jab hum chor aye apni dehleez ko...
Majno bhi ban kar dekha Ranjha bhi ban gaye hum
Na aye tum ban kar mohabbat Na kabhi lamha pyar ka...
Maangay bhi tu kiya keh kar maangay tumhain Khuda se
Jab tum hi na ho Khush iss benaam rishtay se...
Kabhi tum bhi meray howa kartay thay...
== Zamana bhar ==
Zamana bhar bhi tha iss dewaangi se waqif meri
woh lamha kiya yaad aya aaj aik baar phir se
jab mili thi tu mujhe uss bheer main akayli
aik lamha tu bhool gaya tha main sab kouch apna
woh ankhain teri woh zulfain aur woh adayain
tha her lamha mera ajab dil ki her dharkan baykabo
kitni thi dunya haseen kitna tha sab kouch rangeen
per tha woh sab aik khawab
jo ho gaya khatam aik raat
==Trust== Tum per yeh yaqeen rahayga hamaysha
Apna yeh andaz-e-Iftikhar-e-Tabassum hamesha numaya rakhna
Hum na chahain gay kabhi tum iss jivan main parayshan ya tanha ho
Hum her pal her ghari her jagay tumharay saath hain...tumharay dil main
== Dost aur Mohabbat == dost dost nahi rehta jab baat pyar tak pohanchay
pehal karta hai koi aik aur amal karta hai koi aik
pyar kar kay pachtana kaisa zulm kar k rona kaisa
her ik insaan k seenay mai hai dil daba armaano bhara
kis ka dil hai kitnay gehray zakhmo se choor koun janay
kis ko hai sahara gawara kisi ki mohabbat ka koun janay
anjaanay ko rasta dikhaye madad karay koi aisay hi kiun
aaj tu karam kar kisi per aur kal karay karam tera Rab tujh per
muskuratay kat jayega tera ye jeewan yunhi subha se shaam
aasma rota hai jab kabhi dil bhi rota hai khamoshiyo talay
jab koi dost na milay iss bheer mai tu akhiyan bhi baras dayti chalain
dosti ka na karo itna ghum iss zamanay mai na karo yaad ussay
abb tu dost bhi na raha sang aanso bahanay mai na karo yaad ussay
==Keh diye hum - Koi Baat Nahi== Kiya howa jo tumhara saath nahi
Meray haathon main tumhara haath nahi
Meray liye tumhari yaadain hi kafi hain
Mohabbat main zarori mulaqaat nahi
Main sari umr tarsa hon chahat kay liye
Meray naseeb main shayed yahi soghat nahi
Iss andaaz say bikhar kar phir simat na saka
Mujhay samaitnay wala hi koi haath nahi
Jis ki dosti pay naaz tha, woh dost bhi gaya
Kis garv say kaha DiLBaR nay koi baat nahi
==Understanding== Wadon ka matlab izhar nahi hota
khamoshi ka matlab inkar nahi hota
nazrain to milti hain hazaar nazron say
per her nazar ka matlab pyar nahi hota
Dekha tu hum nay aapko tha pyar ki nazar say
Her nazar ko samjhana zarori nahi hota
==Sakhawat== Yeh baybasi ka Alam aur nashay ki halat
Tumhain mili Izaat aur hamain Zalalat
Hum nay tujhay paanay ka kar liya tha faisla
Is faislay ka insaaf na kar saki teri adalat
Hamaray Chehray ko tum parh na sakay thay
Hum nay tu kar di thi teray Chehray ki tilawat
Jhotay hum nahin yeh sara zamana hai
Sach kaha hai tujh say yahi hai hamari sakhawat
==Alqaab-e-DiLBaR== Humain wo hota hai kiun jo kisi ko nahi?
jab sota hai sara hi jag phir nind humain ati kiun nahi?
Shayed aap ko bhi satatay hongay hum...jis tarha aap ki yaadain rulati hain humain...
Woh chaal moor jaisi, woh chehra Chand jaisa, woh adda shabnam ki tarha...kiun na bhola paye hum?
Na merzi thi Na khayal Na chahat per kab kaisay dil dey bethay hum?
Mohabbat gunnah hai tu kar bethay yeh gunnah kiun hum?
Kaash aik aanson hi hotay aap ki inn katil aankhon kay...marr jaatay apkay nazok honton per...
Woh pyar bhari baatain woh narazgi woh Dil lagi...
Na aap hain Na apkay pyar ka wojood...
Bas Hum hain...Apki yaadain hain...Aur hamari Alqaab...
==Zakhm== Aansu Ko Aankhon Ki Dehliz Pey Laya Na Karo
Apne Dil Kay Halaat Kisi Ko Bataya Na Karo
Log Mutthi Bhar Namak Liye Ghoom Rhahay Hain
Apne Zakhm Kisi Ko Dikhaya Na Karo
==Teri Yaadain== Mohabbat bhi kiya chiz hai shayer bana dayti hai
hum rona nahin chahtay teri yaad rula dayti hai
==Kayamat Teri Her Ada== Aik chiz Qayamat bhi hai, Logon say suna kartay thay
Tujhay dekh kay hum nay maana, Woh theek kaha kartay thay
==Zindagi kisi ki mohtaaj nahi hoti== Zindagi waqt ki mohtaj nahin hoti...Mohabbat sirf aik jazbaat nahin hoti
kuch to socha hoga Khuda nay warna...yunhi apsay mulaqaat nahin hoti
==Ishq jhoota hai== Du kadam tu chal letay hain magar zindagi bhr ka saath koi nahi nibhata,
Agar ro kar bhulayi jati yaadain, tu has kar koi ghum na chupata
== I Love You Forever == I can't live without you my dear...
My eyes are arid for you...
You made my heart thaw forever...
My life is tiresome without you...
You're the only therapy for my life...
I'm anxious for your happiness...
I'm not a traitor...I'm sincere & will be till death...
I'll never ever play with your crispy trust...
Your eyes were an ambush for me...
You are the only visionary queen for me...
You found the latent person in me...
I want to hold your hands in cold...
I want to be with you forever...at every stage...
I LOVE YOU...don't forget this tied relation ever...
== Woh Pari == Aray dewaano Aray Begaano Sunlo meri zubani aik kahani
Tha sama naya sa kouch sacha sacha sa kouch meetha sa
Ankhain thi ye nadaan dil bhi tha baychara sa
Na thi samjh mujhe talab ki na pyar ki thi soch
Na tha pata rishton ka na pata tha gehray naato ka
Ik pyara sa masoom sa chehra tha woh dekha maine
Dekhtay hi ussay dil ki ho gae dharkan taiz
Na jaanta tha ussay Na suna tha kabhi
Aik pal laga kay koi ho jaisay nazoq pari
Jo chor aae ho paristaan apna
Na samjh tha nadaan tha dil mera
Na howa iss baycharay ka guzara
Keh baytha ussay apnay sapno ki rani
Samjh baytha ant-e-kahani
Per thi woh kisi aur ki maha raani
Na keh saki woh mujhse na samjh saka main
Waqt guzar gaya uskay do shab jo sunay ghussay kay
Chup si ho gae meri zubaan, Ishq jo tha andha uss se mujhe
Doli uthi uski jab dekha uss nay ik pal meri ankhon main
Dil machal gaya ghum main doob gaya
Tarapti machli ki tarha tarap tarap kar reh gaya
Aanso bhi pi liye Aur muskuratay bhi hum chal diye
Nasha pyar ka tha baypana Khuda ki qudrat
Yaad karta hon ussay Sochta hon Parayshan hota hon Duwa karta hon
Bas gaya ghar uska Khushi bhi a pohanchi dehleez per uski
Meray shab howay khatam Aur uski nae zindagi ka howa aghaaz...
== Shair == Na thi kabhi ki shairi na tha koi aisa showk
Dil ko dhokhaya kisi nay iss kadar
Kay niklay aanso ankh chor kar qalam ki awr
Likhtay chalay gaye hum bhola diya uska naam
Kiya howa jo tanha chor gaye woh larki humain
Likh Likh kar bhola diya uska tasawwar bhi humain
Pathar Dil hain hum koi khilona nahi
Likha nahi tha uska naam kay kar gae woh bewafae
Likh diya humnain jis roz naam kisi pari ka
mitayga nahi woh sada iss haqeeqat ka
shairi na samjhna issay ay qaari
Ye tu hai dastan iss faraibi dunya ki..
== DOST == Dosti naam hai aik ibadat ka
Dosti main milan hi sirf uski bunyaad nahi
Dosti hai tu bay matlab bhari pyar se
Dosti pyar bhara Iklaaq ho ya aag ka shola
Dosti rehti hai sada urooj per chamaktay sooraj si
Dosti aik kaanch ka tokra nahi jo chub jaye payr main yunhi
Dosti khuli fiza ka aik zarra nahi jo kho jaye ankh japaktay hi
Dosti tu woh khushbo hai jo aati dilon se hai
Dosti tu woh lafz hai jo chotay khushi se hont hain
Dosti woh nahi jo pal main toot jaye
Dosti woh nahi jo dil hi dil main reh jaye
Dosti kisi ki ghulaam nahi jo chup chup kar mar jaye
Dosti waqt nahi kay kabhi haat na aaye
Dosti baychaini nahi sokoon ki saans hai
Dosti tu woh hai kay mar kar bhi
Khuda se dost ka deedar manga jaye
== AMBER == Per nam rehangi akhiyan abb say hamari
Gul rokh tha na dekha chehra tera
Mol li tanhae iss bheer main humnay
Hum aik andhera aur laakhon sitaray
Dokh ki pehchan nahi tu jeevan kaisa
Sokh say jeena bhi kiya jeena
Toot gaye thay jo hum aik jhatak say
Kaisay jiyengay yeh sansain lamha lamha
Toofaanon say larna tha ik showk kabhi
Aaj wahi showk ubhra dil main kahin
Tumhari yaad main uthae thi kalam aik baar
Na jaanay kab tak uthaygi yeh sada aur
Tum chali gae zindagi se jo yun tu kiya howa
Hum bhi jee laingay aik saans aur
Dil tu toota tha kabhi pehlay bhi
Choor choor hai angan iss dil ka abhi
Khush raho hamesha duwa hai hamari
Chotay chotay ghum say thay zinda hum kabhi
Jeevan bhar ka jo diya ghum tum nay
Na bholaingay hum teri woh pyari baatain…
== Tah-e-dast == Thi jab dunya sang teray…
Ahelay-e-wafa faisal…
joban main dar say teray…
tah-e-dast akela reh gaya…
Ay zalim tujhe zara bhi tars na aya…
Sada jo nikli uski zuban say phir bhi…
khush lafzon main hi bayan thi…
== Problem or Love
== Aeyna dekhta hon...
Apni aankhon main usko pata hon...
Neend a jaye kahin agar...
Tu usko apnay khawabon main paata hon...
Ussay yaad karta hon...
Tu Dil ki dharkan taiz ho jati hai...
Cigarette jalata hon usko bholanay kay liye...
Kambakht dhowaan uski shakal ikhtiyaar kar leta hai...
Yeh dil dheeray dheeray hogaya hai baykarar...
Na chahtay howay bhi kar betha us say main pyar...
Tanha bethta hon akela kahin...
Tu sochta hon yeh pyar bhi kiya chiz hai? shaayer bana dayta hai...
Dhonta hon koi mil jaye jo ussay mera jeevan
saathi bana day...
Duwa hai koi kabhi kahin mil hi jaye madadgaar...
Yaad karta hon ussay jab her aik pal...
Tu uski woh pyari si hasi yaad aati hai jab kehta tha main ussay
mohabbat...
== Miss me because I always miss you == Kabhi hum say juda na hona
Kabhi alwida na kehna
Hum nahi chahtay tumse duri
Tum humko yaad rakhna
kabhi dil say na bholana
hum paas hon yaan na hon
humain pyar say bolana
hum tumharay paas na howay tu kiya
itnay main aankhain na bhar laana
Humain yaad kar layna
saamnay hum ankhon kay aa jain tu
pyar ki nazar say humain dekh layna
Per kabhi hum say juda na hona
== Tum bin kiya jeena == Einth ka jawab pathar se daina humain pasand nahi
Kisikay dil main yunhin rehna humain pasand nahi
Jisay dil pyar ki nazarse dekh lay aik baar
ussay kabhi chornay ki aadat nahi
Hum tu teer kay badlay phool daina pasand kartay hain
Kiya mizaaj hain humaray chahnay waalonkay
Ankhon se teer ka kaam laytay hain
Abb tu hum bhi ho gaye baychain unkay liye
Teer hi aar paar ho jaye khawahish rakhtay hain hum
Hamaray dil se khela nahi jata
Yeh dil aik aisay ghulaab ki manind hai
jo kabhi murjhata nahi....issay sambhal kar rakhna...
yeh kisi aur ko tum bin bhaata nahi...
== The Relatives == Woh kitnay bhi buray kiun na hon
Tumhain yaad ayega unka galay lagana
Woh kitnay bhi shatir kiun na hon
Tumhain yaad ayega saath zaroor unka
Woh kitnay hi jhoothay kiun na hon
Tumhain unki baatain yaad ayegin
Woh kitnay hi sung dil kiun na hon
Tumhari aankhon ko nam kar jaengay
Woh kitnay durr hon yaan kitnay kareeb
Unki yaad tumhain rula daalay gi
Koi bhi kaam na ayega tumharay
Sirf tum hi khoud kay kaam aogay
Kabhi socha tha tumnay?
Kaisay unki yaad tarpaati hai tumhain
Aisay hi tumhara Rab bhi tumhain yaad Karta hai
Kabhi tumnay Ussay yaad kiya?
Jab tumharay khawaab toot jatay hain
Tum yaad kartay ho phir Usko
Kiya Uska tum per haq nahi?
Abhi bhi waqt hai...yeh dunya sirf khaaq hai...
Aik din sab nay lowtna hai...aik gharri soch lo...
== Only You == Mera na koi hai iss jahan main tum bin
iss tarha tu sara jahan hai mera
Tum jo yahan nahi tu kouch nahi
Tum thay tu tha koi apnay jaisa
Aik din milaingay phir aik saaye talay hum aur tum
Humain aati hai tumhari yaad kahin tum na bhola daina
Hamara Dil aik sheeshay ka mahal hai
jiskay takht per baythay tum ho sanam
Sada basay raho gay tum iss mahal main
Kabhi humain bhi jaga do apnay dil kay kisi konay main
Bahot kar chukay tum sitam abb na sahaingay hum
Kabhi tu hongay dil kay armaan puray humaray
Dil day diya tumhain abb jaan bhi lay lo
Khushi say daingay hum...
== Silence == Zara ahista karo yeh pyari baatain O meray sanam
Itna ahista kay koi sunn na sakay dharkanain
Itna ahista kay koi sunn na sakay yeh fasana
Inn pyar ki meethin baaton ko dheeray bolo
Yeh pyaray shab koi aur na sunn lay hum bin
Itna kareeb a jao kay saanson main saansain bas jain
Itna kareeb kay tumharay yeh shab ankhon say samjhain hum
Itna kareeb kay tumhara kaajal humsay kouch kehnay lagay
Itna ahista kay tumharay lab bhi machalnay lagain
Abb aur na tarpao humain sanam dartay hain hum
Kahin kho na baythain tumhain iss jahan main hum
Zara ahista karo yeh pyari baatain O meray sanam
== I'll die without you == Marr jayengay...Lutt jayengay
tanha reh jayengay
tumhi socho zara
kaisay reh payengay tum bin sanam
channd ghariyan hi hain zindagi ki
inhain na gawana
humain bhi kouch kehna hai tumse zara
kalki kiya khabar
ikraar kar lo kay tum
humain yunhi chahtay rahogay zindagi bhar
tumhain khona hamaray bas main nahi
== Kiun? == Kiun mera dil kehta hai tu mujhe chahaygi umar
bhar yunhi?
Kiun mujhe lagta hai tera wojood meray hi liye hai?
Kiun ankhain bhar ati hain teri yaad main?
Ay meray humnawaz
kabhi mujhse durr tu na hona
Meri mohabbat sachi hai..
Sirf teray saharay ki aarzo hai abb..
== Tu hi Tu == Apnay dil ko thaam layta hon
phir bhi yeh tarpata hai tumhari yaad main
kitna bhi rok loun issay
kitnay bhi kar loun sitam
naam sirf tumhara hi layta hai
== Nafsa Nafsi ka yeh aalam aur tu == Koi apna nahi...Kayamat ki ghatta hai yahan...tu
jo nahi...kouch bhi nahi...Ay Khuda reham kar...
Mohabbat main ghum ka hona tu lazim hai...jang ho na ho...jeet hona
lazim hai...
iss nafsa nafsi kay aalam main yeh dilon ka milan koi kam tu nahi...aik
dosray per bharosa koi kam tu nahi...
Koi apna nahi...Kayamat ki ghatta hai yahan...tu jo nahi...kouch bhi
nahi...Ay khuda reham kar...
zindagi hai tu hai ik pal ki...aankh jhapkay gi kay khatam ho jayegi yeh
zindagi...
kehdo tum bhi kehdaingay hum bhi...aik do shab hi labsay...
yaad karaygi yeh dunya bhi kay kahay thay kisinay yeh alfaaz-e-mohabbat
bhi...
kar lo kouch amal...abb bhi waqt hai tumharay hamaray paas...kiya jawab
do gay Ussay...
jab Woh sawaal karayga...Jissnay tumhain wojood diya...Jo har chiz ka
Maalik hai...
Kahin aisa na hojaye...kay aa jaye jahannum ko bhi passina teray
ghunnahon ka...
Koi apna nahi...Kayamat ki ghatta hai yahan...tu jo nahi...kouch bhi
nahi...Ay Khuda reham kar...
Aaj jab dil nay tujhe bulaya...teri bahot yaad aei...tu jo nahi...
== How much I love you == hey baby you belong to me..
if I can't get you I'll die..
come in my arms...I'll show you the meaning of love..
my soul's on fire...
meray Dil ka tu hai armaan...
tu na mili tu bas...sab khatam..
baby why don't you see...how much I love u...
I'm finding a way to your heart deep...
I love u...till I die I'm yours...
I need a place of love & peace...full of silence..
jismay hon hum tum aik dosray ki bahon main ghum...
har waqt teri hain yaadain...teray hi sapnay...teray hi armaan...
I can't live without you...
== You Everywhere == opened my eyes, found you
closed my eyes, saw you
went out, found you everywhere
smoked a cigar, found you in smoke
saw my hands, your hands were not there
saw raining, missed you too much
felt cold, thought about you
ate chocolate, thought about you
drank coffee, thought about you
picked my cell, read your messages
heard music, imagined you dancing
opened my wallet, found some amount
checked my pockets, found nothing
Thought to check my heart...
there was no one except you...
== Ask me once == Dil bhi kiya chiz hai
Hum tu jaan daydain
maang kar tu dekho aik baar..
Khushi kiya
Hum tu khushiyan bhar dain
tumharay aangan main..
Kaho tu aik baar..
== Your beautiful face == Ajeeb aalam hai..
sokoon nahi khushi nahi araam nahi
kouch bhi tu nahi...
Per jab tera chehra nazar kay saamnay pata hon
sab kouch lowt aata hai..
== You're my true love == Nafsa nafsi ka aalam hai
per kar beythay hum tumse sachi mohabbat..
Humari nazar se dekho
Tum kitni achi ho..
Pyar kay kabil ho..
== You're the only desire == Tum jo mili ho iss jahan main
agar
Tu hum khona nahi chahtay tumhain
jeenay ki umeed na karaingay tumse kabhi bichar kar..
== Don't Try It == Don't say Hi, I'll not reply
Don't try to see in my eyes, sea lies in them
Don't touch my heart, its fragile
Don't ever touch, flames blow in me
Don't examine me, I'm sensitive
Don't trust me, I'm not an angel
Don't shout, I'm human
Don't hurt me, I'm beloved
Don't try it, love is hard
== Stop wasting time == Aye meray dost....
Waqt na gawa...yeh Waqt phir na ayega...
Lowt ja apnay Rab ki taraf...hai Woh her pal teray saath...
uttha lay haath kar duwa...
jhuka day sir sajday main...
mang lay maafi...
Aye meray dost...
Waqt na gawa...yeh Waqt phir na ayega...
Chor iss dunya ko yeh tu hogi fana ik roz...
Per Dil main rakh Rab ko Woh rahayga sada...
Saath hai teray agar teray Rab ki Khusnoodi...
Tu sab kouch hai iss jahan main tera...
Aye meray dost...
Waqt na gawa...yeh Waqt phir na ayega...
== baby I wana touch you == Dil chahta hai tujhe cho loun
tera chehra dekh loun
kabhi saasain bhi laytin hain tera naam
lagta hai bas gaye hai tu meri roh main....
== Where are you? == Na hai chain Na koi sokoon
Kiya kar diya tunay mujhe
Chal gaya teri baaton ka jaado mujh per
Ajab dard uthay meray dil main subha shaam
teri yaad main rahon main ghum
tanha hain meri raatain meri shaamain
Ishq ka zeher pi liya maine sanam
Kahan hai tu? Kahan hai tu?
tu nay kar diya mujhe deewana
Kiya haal hai yeh mera kabhi tunay socha?
Kar diya mujhe majno apni baaton ka
Na tarpa itna mujhe
Jal jayegi tu meray Dil ki aag main
tu kiya jaanay meray pyar ki kashish
Jaan rakh dain hathayli per meri
Per tunay yeh kiya kar diya
main kouch na sunon kouch na samjhon
tera naam hai her pal zuban per meri
day mujhe mera chain waapis
mera sokoon mera Dil
== Shamma == Shamma jal hi gae hai tu jalnay day issay
kiun tokti hai madad gaar ko tu?
chor day dunya ho ja meri
Tanha hon main meray sang chal
Kiya rakha hai iss faani dunya main?
do pal ki tu zindagi hai ho ja meri
tujhe bholay say kabhi meri aa jaye yaad agar
tu yaad kar lay mujhe mera naam lay kar
main rahon na rahon mera pyar rahayga